Dosron ke sukh mai jo,
Nishchintita milti hai,
Or dukhi ko apna sneh,
Pradan karne mai,
Vah sansar ke kisi or,
karye mai nahi,
Kisi ka sneh purvak,
Hadh karna aapko,
Aapke kalpit badappan,
Se alag aapko-aapke,
Bachpan or thodi si,
Svabhavik sthiti mai,
Pahuncha deta hai,
Kisi ke ansuon ko khojna,
Or un ansuon ke karan ko khojna,
Apne aap mai ek mahan uplabdhi hai,
Isi karan sneh vatsalye hridaye,
Ki shakti ban jate hai,
Or irshya-dvesh bhavnayen,
Durbalta chod deti hai.