aaj fir din bhar ek talash ,
rahi,
aur nakam rahi,
raat aai aur bin baat ki,
becheni sath lai,
ye tanhai bhi kya khub thi,
sachi mehboob thi,
khamosh tha sara jamana,
idhar dil mai tha ek virana,
ek esa virana jo dil mai,
samaya hua hai,
na jane kab se?
kya gajab hai ye virana,
mujhe mehboob hai ye,
virana,
kuch baten hai jo rah-rah,
ke satati hai,
jindgi to jindgi hai ye to,
yun bhi gujar jati hai,
agar koi humkhayal humdum,
humkadam ho,
to suni dagar bhi sanvar jati,
hai,
na jane kitni hasrate hai is,
dile nakam ki,
jo kore panno par kitni,
ankahi bate likhva jati hai.