You cannot rate your own article.
By: kml7985 | Posted: Jul 19, 2010 | General | 465 Views (Updated Jul 19, 2010)

“GAM”


“The silent tears”


Kal tak rote the raaton ko,jo hame suna kar gam apne,le gaye khushi humari wo rakh kar khazana un ashkon ka.


Tab unke gam main humne bhi,apne do nain bhigoye the, hum bhi to kali raaton main yun jag jag ke soye the,


Ab bhul gaye un raaton ko hum saath saath jab roye the,tum apne gam main doobe the aur hum bhi usme khoye the.


Kya samajh kar, tab tumne ye hath humara thama tha, kuchh aur hume phir samjha tha ya dost tumhara mana tha.


De gaye hamein wo gam apne,de gaye wo aansu raaton ke, abaad hui basti unki,deh gaye mahal jazbaton ke.


Ab hum bhi to fir tanha hain ye rehmat hum per unki hai, bhitar uthta tufan bohot aur bahar ghor andheri hai.


Hum bhi ab gam main doobe hain,ab humko bhi to rona hai, gam unke the ab mere hain,bas naino ko to bhigona hai.


Kar gaye kinara wo hamse jab bari meri ayi hai,kar gaye wafa tum khub yahan humne bhi wafa nibhai hai.


Ab mat ana fir raaton ko,lekar afsana un ashkon ka,seh na sakenge is bar hum bhi, wo dard, tumhare diye un zakhmon ka......!!


By-: Kamal Chandel


Tags :
can, anybody, listen, the, voice, of, tears....?
Post a Blog