Kabhi gham yun bhi hota hai,Keh sansain toot jati hain
Kisi ki rah tak tak ker,Nigahain sookh jati hain
Jinhen ana ho jeewan main,Wohi aanay nahi paatay
Jinhen ana ho khwabon main,Wo rastay bhool jatay hai.
Kabhi gham yun bhi hota hai
Jahan dil apna khilta hai,Waheen mausam badalta hai
Hamain jo naam lena ho,Amanat aur ki ho wo
Hamai jo baat kerni ho,Sira wo mil nahi pata.
Kabhi gham yun bhi hota hai
Jahan phoolon ki aahat ho,Khizan bhi tan ke aati hai
Koi dharkan sunaey gee,Hamain kya raaz ki batain
Kabhi jab aankh dil per ho,To dil hi mil nahi paatay.
Kabhi gham yun bhi hota hai
Keh lawa bhi nahi pata,Khwahish aesi hoti hai
Mager hum roo nahi saktay,Sar-e-maqtal kharay ho ker
Kabhi tum ko pukarain to,Sada'ain mil nahi saktee.
Kabhi gham yun bhi hota hai
Keh mar janay ko dil chahay,Koi marnay nahi deta
Kabhi gham yun bhi hota hai
Hamain hi gham kyun hota hai?Usay gham kyon nahi hota?