Kaise kahen ki kya kehna hai,
jab se hatho mai tere daman ka kona aa gaya hai ,sari duniya se chup-chup kar rona aa gaya hai,
angan mai chandni utri hai par humari kismat mai dhup ka bichona aa gaya hai,
tujhse chipa kar tujhse hi na jane, bahut kuch kehna aa gaya hai,
kahin koi daag na reh jaye is liye, apne hi ansuon se unhe dhona aa gaya hai,
teri chup kya-kya kehti hai ye bhi, samjhna aa gaya hai,
tu lakh chipa humse phoolon ke diye jakhm,
teri tarah humko bhi jakhmo ko, kanto se pirona aa gaya hai.
kitne tukde hue tere dil ke, apne dil ke kone mai unko apne dil ke tukdo ke sath sanjona aa gaya hai,
chahe kitni bhi madhu-malti ki bele saje, har singar se tere dil ko sambhal kar,
ek sire se pirona aa gaya hai......