Aaj phir yaadon ki dhund mein,
Main teri chhavi niharta hoon...
Zehan mein basi teri tasveer ko aaj kanvas par utarta hoon,
Par yeh kya...
Aaj phir maine tujhe kho diya...
Sang mere aaj, mera kanvas bhi ro diya...
Barso purana itihaas main aaj phir dohrata hoon,
Tab chhod gya tha zindgi ki rahon mein tanha tujhko,
Aaj adhura kanvas pe chhod jata hoon...