idhar udhar bhatak raha tha
kaafi pareshan maloom padta hai
chehrey par jhurriya hai
bimar sa bhi hai
ladkhada raha hai
kaapti thithurti dabi awaaz mein
kisi ko awaaz laga raha hai
awaaz bahut dhimi hai
apna naam ‘Ahinsa’ batata hai,
kisi ‘Gandhi’ ko dhund raha hai...