Sunahari dhoop main , Anuthi raat main
Jahan tare dhara par aate hain
Jahan badal phool barsaate hain
Jahan ki har baat nirali hai
Jahan ki mitti thandak dene waali hai
Jahan nadeeyon ka geet hai
Jahan baagon main koyal ka sangeet hai
Jahan dhoop main lage mujhe chhanv
Eisa anotha aur aloaukik hai mera gaanv
Jahan bag main baalayein abhi bhi athkeliyan karti hain
Jahan daadi abhi bhi har subah ramayan ka path padhti hai
Jahan ki har subeh main mandir ke shakh ki aawaz hai
Jahan har shaam ko maszid main khuda ka alag andaaz hai
Jahan dadaji ke pairon main aaj bhi hai kharaon
Eisa anootha aur alokik hai mera gaanv
Jahan ke striyon ke chehre pe aaj bhi laaj ki garima bhaati hai
Jahan ke purushon ko aaj bhi sharmon haya main lipti hui naari hi bhaati hai
Jahan har waqt ek dusre ki sahayata ko log tatapar rehte hain
Jahan athithi ko leg aaj bhi devta kehte hain
Eisa anootha aur aloki hai mera gaanv
Ab apne gaanv ke bare main kya main tume sunaun
Jahan chaupal pe tan ko thadak deti hai aaj bhi peepal ki chhanv
Eisa anootha aur alokik hiamera gaanv