The festival of light is back again ...
with best complimetns & wishes to all here I m posting my new poem
Man mein yun ullas jaga ke
phir se ayee Diwali
vastron ka shringaar nayaa
nayee chhataa phir bikhare
rang birange log yahaan
phir prem ka amrut chhalke
man mein yun ullas jagaa ke
phir se ayee Diwali ..................................
khaoo mithaai kuch aise ke
man mitha ho jaayee
phodo patakhe kuch aise ke
nabh roshan ho jaaye
man mein yun ullas jagaa ke
phir se ayee Diwali ..................................
dhan dhanya ki varsha ho
par vivek ka ankush ho
rahe na koi thaali khali
har ghar mein ujiyaara ho
man mein yun ullas jagaa ke
phir se ayee Diwali ..................................
nav srujan ka taanaa banaa
is desh ko bunna hai
khushiyon ke deepak ab
har ghar mein pahuchaana hai
is sankalp ko isee parv par
humne mil kar uthaana hai
man mein yun ullas jagaa ke
phir se ayee Diwali ..................................
Raj