Khamosh palkon pe dariya ruka hai abhi
Tumhare intezar mein ek lamha ruka hai abhi
Sadiyon ka faasla to tay kar liya hum ne
Sirf do qadmon ka safar ruka hai abhi
Waqt ke sagar pe rawan ho tum ye jaan lo
Tumhare pyar ke liye ek shaks ruka hai abhi
Aa jao ke zindagi tamaam na ho jaye meri
Barey ehtamaam se maut ko taala hai abhi
Sadayein de de ke be-awaz na ho jaoon kahin main
Aa jao laut ke ek jumla meri zuban pe ruka hai abhi......