Aaj hum Onkara dekh ke aaye, picture theek thak hai. Par gattu uska review nahi likhega. Gattu tohafe ka review likhega.
Mummy to bolati hai ki maagana aachi baat nai, par agar mauka mile aur free me mile to maangane mein kya jata hai. Viase bhi koi kuch de to nahi raha hai asli mein mujhe, to fir likane mein kya hai, likh deta hoon.
mujhe maggie bahut aachi lagati hai, agar koi mujhe roj khoob sari maggie, jitani main mango, utni khila de to main unka koi bhi kaam kar doonga. Par aate vali magi nahi, aur bina sabzi vali magi, khoob sara masala aur khoob sari maggi. Fir main aapka koi bhi kaam kar doonga, par main chota hoon, to jyada mushkil kaam nahi bolana aap karne ko. Qwan ne mujhe kam rating di thi jab maine Maggie ka review likha tha. Vo bolate hai ki usme kuch kharaab hota hai, par mujhe to fir bhi bahut achi lagati hai maagie,
mujhe stone cold steve austin se milna hai. Vo WWF ka hero hai, mujhe vo bahut accha lagata hai. Mujhe uske jaise body bhi banani hai, ganja nahi hona hai uske jaise, aur English bhi seekhani hai usake jaisee. Par main gaali nahi doonga kisi ko, usko bhi nahi deni chahiye, vo bahut gali deta hai sabko. Jab deta hai to tv mein ‘teeee’ kar ke kaat dete hai, par sabko pata to chal hee jata hai kee kaun si gaali di hai usane. Mujhe bahut maja aata hai usko dekhane mein. Mujhe pata hai ki vo larai sab nakli hoti hai, par fir bhi bahut maja aata hai mujhe. Mujhe usase milana hai ek baar.
Mujhe ek ar sneha ko peetna hai jor se, ha ha ha, mujhe sach mein use peetna hai, main majaak nahi kar raha, vo mujhe hemesha daatati rehati hai. Abi main poora likh loonga review fir, usko deekhauga, ha ha ha…. bara maja aayega…
Aur aakhir mein bhagwaan se aacha bhi maangana chahiye na, aur sab apne liye nai – dosaro ke liye bhi maagna chahiye. To main bhawaan se maangata hoon ke aap sab log aache raho, aur khush raho. Mumbai mein jaise bum hua, viasa na ho kahi bhi fir se. sanskrit ki kitaab mein ek sholka hai:
‘sarve bhavan tu sukhinah, sarve santu niramaya,
sarve bhadrani pachayntu, maa kashchit dukh bhaag bhavet’
maine theek se nahi likha sholka, mujhe aata bhi nahi hai poora, sorry. Par iska matlab hota hai kee
‘sab sukhi rahe, sab nirog rahe, sab aur shanti ho, tatha koi bhi dukhi na rahe. Hum sab ko pyar se mil jul ke rehana chahiye, larai nahi karni chahiye, bum nahi, goli nai, pyar se reho sab log….
Paanchva gift samajah mein nahi aa raha hai, char kaafi hai, jyada laalach nai….