Gattu ke paas bhi ek doggie hai – Scooby, vo pomaranian hai. Chota sa hai Scooby, shakal se bhondu lagata hai, aur hai bhi bhondu hee, vo din bhar bhokata rehata hai aur kabhi kabhi raat mei bhi shuru ho jata hai bhaukana. Maine use bahut samajhaya kee nai bhaukate hai faltu mein - Vo vaise meri saari baat maanata hai, par pata nahi bhokana kyo nahi kam karata? Main kehata hu sit to sit, main kehata hoon shake hand to pair deta hai haath milane ko, par jab main bolta hu bhok mat, to aur jor se bhokalne lagata hi scooby.
Scooby mere saath khelata hai, hum ground mein jaate hai, aur main usko baal deta hoon fek kar – kahi bhi faiko baal ko, vo dhoond ke le aata hai. Kabhi kabhi, kuch aur bhi le aata hai baal ki jagah . Scooby bahut tej daurata hai, vo bahut furlita bhi hai, aur thakata bhi nahi, main hee thak jata hu, par vo to ball par hee jhapata rehata hai, main band bhi kar doon khelana, to bhi ball se khud hee bhir jata hai, khud hee ball ko hilata hai, aur jab vo ghumane lagati hai to bhokane lagata hai - use lagata hai ki vo koi zinda jaanwar hai, ha ha ha, kyoyi hai to bhondu hee scooby…
Sabko apne doogie ka khayal rehana para hai aache se, thori baat dhayan mein rehanee chahiye.
Doogie ko jyada meetha nahi dete, kyoyi usase unke baal jhar jate hai.
Doogie ko anda bahut pasand hota hai, Scooby to anda khatam ho jaye, to bhi aadhe ghante tak katori hee chaatata rehata hai, sabko apne doogie ko anda dena chahiye, kyoyi unko bahut pasand hota hai vo
Doogie ka toilet ka time fix hona chahiye, kyoki nahi to vo har baar ganda kar dete hai ghar ke ander hee.
Sardi mein doggie ko garam kapare pehnaane chahiye, ek baar scooby ko thand lag gayi thi, fir vo bahut kamjor ho gaya tha.
Bahar le jate hai to khayal rakahan chahiye, bahar ke kutte un par jhapata mar dete hai kabhi kabhi.
Sabko apne doogie se bahut pyar karna chahiye, kyoki vo bhi aap se bahut pyar karate hai. Main bhi scoby se bahut pyar karata hoon, aur vo bhi muje dekh kar pooch hilatata hai, aur mujhe chatata rehata hai har waqt.