Chal jaye akant me,
Do pal bhitar utre,
Dekhe kya he akant me,
Bahut rahe ek anek ke sangme,
Chhod kar yah sab mahefil jaye akant me,
Bahar chhod kar ab bhitar chale,
Yahi bada kam tumhare hamare akant me,
Waha phool bhi nahi chaman bhi nahi,
Din bhi nahi aur raat bhi nahi,
Sirf pranvayu waha akant me,
Vad bhi nahi vivad bhi nahi,
Sukh bhi nahi dukh bhi nahi,
Keval shanti shanti aur shanti akant me,
Na pranay ki koi bat na koi shringar,
Man kho jayega kaha pata nahi akant me..................