You cannot rate your own article.
By: pratibha.mishraa | Posted: Jun 20, 2009 | General | 718 Views (Updated Jun 20, 2009)

Umarta, ghumarta, garazta hua,


Dur akash ka ek pagla badal…


Behti tarange gungunati hui,


Dharti per hasti ek diwani nadi…



Najar jab padi badal ki nadi par,


Behti tarange chup gai sharma kar,


Badal ko nadi se jo mohabbat hui,


Fasloon ko bas khabar mil gai…



Mitne ka dar kahar ban gaya,


Har pal bus jahar ban gaya...


Socha mita denge nadi ko hum,


Khud kabhi na mitenge hum…



Fasloon ne racha ek sadyantra,


Nadi ki darkane kar di band…


Suukhi nadi dekh badal bahut roya,


Aansuwo ki tarango se nadi ko sanjoya…



Aur badal akash se fana ho gaya,


Ban dhar nadi mein sama jo gaya…


Fasley bhi kabhi tik nahi sakte,


Sacha prem kabhi mit nahi sakta…



Nadi ke sine mein dharakta, pavitra pani,


Yad dilayega hume badal ki prem kahani…


Tags :
ek, prem, kahani, love, Poem
Post a Blog