tum bhudhe vo yuvaa kyun. vahi ausat din-raat dhale hain.
unaki tanduri khastaa-khastaa, bhukho ke ghar bhaat jale hain
sadbhaavana kho gai bhid me, unke seene faulaad dhale hain
aman-chain kee jalaane holi, chhut-bhaiye neta saath chale hain
anaachaar ka tambu unkaa ghar, vahan saikado saanp pale hain updraviyo kee 6-6 ungal, aadarshon ke haath jale hain
nai pidhi jaane bhi kaise, kab kyo jhanjhaavad chale hai
bahas niraali vidhaan mandir me, dekho kitne saaf gale hain
raam- rahim aapas me puchhe, kyaa ham bure aap bhale hain
ude na kyo chehare ki rangat shabd- shabd tejab bhare hain