Itna toota hoon ke choone se bikhar jaunga
ab agar aur dua doge to mar jaunga...
Puch kar mera pata waqt rayega naa karo
me to banjara hoon naa jaane kidhar jaunga...
Har tarf dhund hai.. jugnu hai naa chirag hai
kaun pehchanega basti mein agar jaunga..
Zindagi mein bhi musafir hoon teri kashti ka
tu jahan mujhse kahegi mein utar jaunga..
Phul reh jayenge guldano mein yaadon ki nazar
mein to khushboo hoon fizaon mein bikhar jaunga.....
Itna toota hoon ke choone se bikhar jaunga
ab agar aur dua doge to mar jaunga................
... gulam ali