kabhi-kabhi geeton ko bhi nind nahi ati,
kyon ki tum sunte nahi,
kabhi sochna palkon ke kinare bhige,
rahte hai,
kyon ki tum rooth jate ho,
bevajah to geet hoton pe nahi ruke,
kyon ki tum chup they,
kyon na achi lage ye kal-kal karti,
lehren,
kyon ki tumhari dhadkane sun nai,
padti thi,
jhule pade dalon pe par ek peng,
bhi na jhule,
jo tum na gungunao,
koi khushbu hava ke sath hi,
bah jaye,
kyon ki tum door ho,
shayad kuch adhura hai?
palkon ke bich ansuo ke moti,
chipe hai,
kyon ki tum dekhte nahi.