MP's Diary
Footpaathon par jiite hamarey deshvaasiyon
Itnaa achchii tarah jaanlo, bharamaao mut
Prajaa-tantra ka matlab likkha Samvidhaan mein
Swatantra Bhaarat ke antim un Buddhi Jeevi ne
Jin se shaashit hum sab aise alpbuddhi hai
Keval sansad ki prabhuta ko maan chaley hai
Hum mein itnii kshamataa nahiin ki hum bhii sonchein
Saath varsh ke Bhaarat ko kya naya banaayein.
Hum Bharat ke jaisa hii Saathiyaa gaye hain
Vidhi-vidhaan ko nayii dishaa hum kaise bataayein
Sirf ladkhadaataa Bhaarat kii laathii hain hum
Kaliyug mei naakaam aakhrii saathii hain hum
Jaisii disha hamein bhaayii, kanoon banaayii
Hamarii jeevan ko, kutumb ko raas jo aayii.
Des mein, pakkii baat hai, sabkii hogi lutaayii
Tumharii kyaa hai,padey raho footpath pe bhaayi
Dharana jitna karoge utnii hogi pitayii
Varnaa laathi se lathait hum ban jaayenge
reedh aur kaapal sabhiki hum todenge
praarthana hai hamarii hamako tuma chedo naahii
chup rah kar sahalo isii me tuma saba ki bhalaayi
Vidhi dwaara sthaapit Vidhan ko diyo chunauti?
Samvidhan ke rakshak hum, tum diyo chunauti ?
Sansad kii sarvocch sthithii ko diyo chunauti?
Hum tumhare maalik, tum hum ko diyo chunauti?
Prabhusattaa hai dohre sadan kii, diyo chunauti?
Parliament kii saarvabhaoumyata, diyo chunauti?
Footpaton aur maidaanon se cheekhne vaalon
U P A ke shaasan paksh ko diyo chunauti?
UPA ke mahaarathii ko tum nahi jaanat
Congiress ke itiihaas ko tum nahi jaanat
Des-bides ke sankar Neta tum nahi jaanat
Sankarataa ke moolyaankan bhi tum nahi jaanat
Jaahil, agnyaani tum ho yeh bhi nahi jaanat
Parliament bhandaar gnyaan ka tum nahi jaanat
Maajii afsar-i-pulis aur afsar-i- revenyo
Vaahan-chaalak sena ke bhi bahut puraano
Pita-putr donon bhi saadhaaran se lawyer
Pita poorva mantri the, ab sab bantey santrii
Chaley nikalke kehlaane vey neeti ke Tantrii
Bharat ke kanoon badalane chaley ye moorakh
Unake haath me shaktii itnii kahaan se aayii!
Samvidhaan aur aisii shaktii hum me samaayii!!
Tantra –kutantra ka antar-bhed ko tum kyaa jaano
Koot neeti kii galiyaan kuunche tum kyaa jaano
Saath varsh ka anubhav hai, par tum yeh maano,
Sahii baat hai, hum kahatey hain siina taanon
Hum bhi iss baazii ke saraasar nau-sikhiye hain.
Hamare faayade ke kaanoon ko kaise laayen
Parliament me paanch varsh kuch kaam na aayen
Baar baar humko saasnsad tum chuntey jaiyyo
Saath aur varshon me effective neeti banaiyyo
Tab tak dharna, aandolan ko bhool bhi jaao
An-shan, Gandhi vaad ko dil se door bhagaao
Lok Tantra mei parliament supreme hai maano
Tax bharo, chup ho jaao, kanoon ko maano,
Lok Pal aur anya billon ko hum le aayenge
Jaisi-taisi, tooti-phooti hum laayenge
Sookhi roti khaao aur aansoo pee jaao
BPL ke list se apna naam bachaao
Montek Singh ne tiiis rupaye mein din nikal dii
Un se seekho baat maram kii… ank chhalan ki …!!!
Nav randhron ko mooch kar, andhe, baharey,mook
Jaanake chchup ho jaao, avsar to gayi chuuk.