Muh ki baat sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun
Aawazon ke baazaron mein khamoshi pehchaane kaun
Sadiyon sadiyon vahi tamasha, rasta rasta lambi khoj
lekin jab hum mil jaate hain, kho jaata hai jaane kaun
Aawazon ke bazaaron mein khamoshi pehchane kaun
Muh ki baat sune har koi
Woh mera aaena hai aur main uss ki parrchhai hun
mere hi ghar mein rehta hai, mujh jaisa hi jaane kaun
Aawazon ke bazaaron mein khamoshi pehchane kaun
Muh ki baat sune har koi
Kiran kiran alsaata suraj, palak palak khulti neend
dheeme dheeme bikhar raha hai, zarraa-zarraa jaane kaun
Munh ki baat sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun
Aawazon ke baazaron mein khamoshi pehchaane kaun
Muh ki baat sune har koi...........