You cannot rate your own article.
By: Raj_onlyone | Posted: Dec 06, 2008 | My poems | 467 Views (Updated Dec 06, 2008)

Tumhe Nahee bhulne doonga


ghaav na ban jaaye naasoor


tumko marham rakhne doonga


khoon ke cheeton ko


nahee poonchne doonga


is hadse ko is baar tumhe


nahee bhulne doonga


gustaakhi ko nadaani keh kar


humne bhoola diya hai


sarhad par jisko mara tha


chori se ghus ayaa hai


masumoo ka khoon bahaa kar


woh yun muskayaa hai


par jaalim is bar ise mein


antim muskaan kahoonga


is hadse ko is baar tumhe nahee bhulne doonga


man ka vishwaas dekar ke pura


jinko takht pe bithlayaa tha


tod ke vishwaas woh phir se


vote maangne ayaa


is bar kasauti per kas ke hi


rajaa banne doonga


is hadse ko is baar tumhe nahee bhulne doonga


kho naa jaao tum phir


jevan ki rangeeniyon mein


rakh naa do shaheedo ki


tasveer deewaroon mein


koshish rahegi apni har pal


tumhe phir naa sone doonga


is hadse ko is baar tumhe nahee bhulne doonga


Raj



Post a Blog