You cannot rate your own article.
By: sukritigupta | Posted: Jun 15, 2008 | Useless scribblings..!!! | 523 Views (Updated Jun 15, 2008)

Tute hue Patte ki tarah bikhra hun……


Sab kehte hai Shunyaa se milna hi jivan ka uddeshya hai……


To kyu yu hawa angdai lekar muje apne sath le jaati hai…


mujhe mere uddeshya se bhatkati hai….


To kyu kabhi mai dusro ke kadmon ke niche kuchla jaata hun….


To kyu mai anjana sa kabhi gumnami mai kho jaata hun…


Kyu mujhe rokti hai mere shunya se milne ko ye duniya……


Kya sach mai shunya hi uddeshya hai…ya kuch aur hai…..??


Kyu jeer aha hun mai bina in prashno ke uttar ke…


Thak chukka hun kadmon ke neeche kuchalte kuchalte….


Thak chukka hu gumnami se…


Kyu dil pe bojh hai ki wajood nahi hai mera is duniya mai…..


Shayad apne prashnon ke uttar paakar hi mai apne aap ko samet kar apni shab ko gale laga saku….Par kaun dega mere prashnon ke uttar….?????


Apna astitva bachane ke liye khud hi uttar dhundna hai aur kisi ek din apni shab go gale lagakar Shunya se mil jana hai….!!!!!!


Publish an Article