Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aansoo
Itna kabhi na kisi se pyaar karo
............ ......... ......... ......... .
Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai
............ ......... ......... ......... .
Jab bhi kisiko kareeb paya hai
Kasam khuda ki wahin dhoka khaya hai
Kyon dosh dete ho kaanton ko
Ye zakhm to humne phoolon se paya hai!!
............ ......... ......... ......... .
Jab hamko unse mohabbat thi
Unhe hamari mohabbat pe shak tha
Jab unhe ehsas hua hamari mohabbat ka
Tab hum par kisi aur ka hak tha
-------------------------------------------
Sakoot-E-Qurb main utro to yaad kar lena
Kabhi jo toot k bikhro to yaad kr lena
Khushi k waqt main chahey hume bhula dena
Ghamon ki rah jo dekho to yaad kar lena
Ganwa na dena umar kaheen pashymanioyn me
Khud apne aap se uljho to yaad kar lena
Mana k tum guftago k mahir ho
Wafa k lafz pe atko, to yaad kar lena
-------------------------------------------
Koi ro kar judaa hota hai….
koi hass kar juda hota hai….
juda hone ka gham to tab hota hai…
jab koi kisi ka hokar juda hota hai…
--------------------------------------------