You cannot rate your own article.
By: world_of_words | Posted: Jun 22, 2010 | mana | 399 Views

wo jo mere hoton par rakhi shabnam ko,


apne hotoin par arkhi dhoop se sukha deta hai.


wo jo meri hasi ke rangoin mein,


khushi ke naye rang mila deta hai.


wo jo mere lafzoin ke motiyon ko,


kavita ki mala mei piro deta hai.


wo jo pyar ko baarish bnakar,


mere tann_mann ko bhigo deta hai.


usi ki har baat par mujhe aitbaar hai,


kaise mein batauin use jaan se hi jyada mujhe uss se pyar hai..


wo jo kehne se pehle,


meri har baat ko jaan leta hai.


wo jo maangne se pehle,


meri har hasrat ko maan leta hai.


wo jo hawa bankar,


mere aas pass hi rehta hai.


wo jo tanhai mein bhi,


mere saath hi rehta hai.


uski har maang par mujhe ikraar hai,


kaise mein samjhauin use jaan se hi jyada mujhe uss se pyar hai..


wo jo titliyon ke pankhoin si,


sundar sej sajata hai.


wo jo har pal mere khyaloin mein,


aakar satata hai, gudgudata hai.


wo jo chookar mujhe pighlata hai,


aur fir se bnata hai.


wo jo mera pagal dil,


apna bas apna bnana chahta hai.


uski judaio se mujhe inkaar hai,


kaise mein samjhauin use jaan se hi jyada mujhe uss se pyar hai..


wo jo meri har subah,


mera har pehar, meri shaam hai.


wo jo meri pehchaan,


mera guroor, mera naam hai.


wo jo mere dil ki dhadkan,


meri saansoin ki gehrai hai.


wo jo meri har saans mei hai,


meri jaan hai , meri parchai hai.


wahi mera pariwaar, mera dost, mera sansaar hai,


kaise mein batauin use jaan se hi jyada mujhe uss se pyar hai..


Tags :
love
Post a Blog