Hum aaj dekh ke aaye yeh picture, bahut hi sadi picture hai yeh.
Mallika ko Rahul Bose se shadi karni hoti hai, par Rahul ko nai karani hoti. Poori picture mein bas yehi hai, kabhi karani hai shaadi, kabhi nai karani, fir karani hai, fir nai karani. Dono bahut ajeeb se hai, Millika apni pehali shaadi (Jas Arora) se bhaag jaati hai aur mumbai aa jaati hai delhi se, vaha Rahul Bose se milati hai, dosti ho jati hai, fir pyar ho jata hai, fir bolati hai ki shadadi karo. Rahul ko nai karani hoti to vo taalate rehete hai - par picture to ut-patang hi hai, kabhi haan kabhi na, kabhi pata nai kya kya bekaar ki bakwaas karate rehete hai dono. Aakhir tak dono ko hi nai pata hota ki kya kar rehe hai. Vo dono Auto Rickshaw mein bhaag jaate hai Mallika ke shaddi vaale din, aur picture ekdum se khatam ho jati hai.
Sab log bahut ajeeb hai, Rahul bose hasate hai ki rote hai ki pata nai kya karate hai, par unka chehara ek jaisa hi lagata hai takreeban har expression mein. Mallika so bahut hi buri acting karati hai, unko to bikul nai aati acting. Ek aur model hai picture mein, vo to Mallika se bhi sadi acting karati hai, Rahul ke jo dost bane hai, unke acting aaching thi, baki sab ki theek thaak thi.
Gane bahut sade hai, ek mann bawara (ya aisa hi kuch hai) ko chor ke. Beech beech main chutkule hai, logo koi pasand aa rehe the par mujhe so aise hi lage.
Aur kya likhu ? Picture mein kuch likhane layaak nai laga, main bahut bore hua, aapko bhi hona hai to dekh lo, mujhe to bahut sadi lagi, par shayaad mein chota hu isliye nai aayi ho pasand,
Picture khatam ho gayi to sab hasi hi uda rehe the picture ki, to mujhe to nai lagata ki chalegi. Baaki aapki marji, dekhani ho to dekh lo, nai dekhanee ho to mat dekho.
Sabko Khoob sara pyar aur tata.