Abhi Rocket Singh picture dekh ke aa rahe hai. Picture ubaau hai bekaar hai. Kahani hai Ranbeer Kapoor jaise taise pass ho kar salesmen ki naukari pa lete hai. Fir vo apni hi computer ki company, ( jaha vo kaam karate hai), vahi se kaam chura chura ke apni khud ki company khol lete hai. Unki khud ki company bhi vahi se chalati hai jaha pe vo naukari karate hai. Iske liye vo company ke teen chaar aur logo ko pata ke unko bhi apni farji company me partner bana lete hai.
Picture me dikhaate hai ki vo ek do dialogue maar ke hee sab logo ko pata lete hai. Mujhe to ye bada majedaar laga. Koi kyo apni main naukari khatare me daal ke aisa utpataang kaam karega? Koi paggal hi karega aisa to….
Aur fir film me dikhate hai ki un logo ki company bahut aachi chalti hai kyoki vo mehnat aur imaandaari se apna kaam karte hai, aur computer ki sale ke baad service bhi dete hai vo bhi 24 ghante kabhi bhi. HaHaHa, sab ke sab baimaan hai, apni company me hi fraud kar rahe hai, aur kaam karate hai imaandari se, aiese kaise ho sakta hai. Din bhar vo company me kaam karte hai aur fir bhi 4-5 log mil ke 24 hours service de rahe hai apni doosari fraud company ke customer ko… ye to badi mazedaar baat hai. aur film me ek baar bhi kisi ko servicing karte nai dikhaaya!
End bhi majedaar hai… Unka boss unko range haath pakadh leta hai, aur unki company apne naam karva leta hai, par usase vo company nai sambhalati kyoki uski company ke sab log nikaame hai… aur bekkar hai. aisa dikhaya hai… agar sab bekkar hai, to vo itni aage kaise pahich gaya? Kuch bhi dikhaya hai picture me…. Aur aakhir me vo Ranbeer Kapoor ki company unko vapaas kar dete hai… Aise kabhi sune hai? Kuch bhi dikhaya hai utpatang ….
Hall me jyada log nai the. Logo ko shayad pata tha ki picture mein dum nai hai, to aaye hi nai dekhane… Hum to phas gaye … Aap mat fasna …