Main ne ye phone 1 month pehle liya tha jaisa main ne acpect kiya tha ye phone bilkul bhi waisa nahi hai
Sabse pehle main phone ke ober view ki baat karun to
Body 130.1 x 67.6 x 9.5 mm( 5.12 x 2.66 x 0.37 in) hai to phkne ki motayi kafi zyada hai agar 8mm hota to behtar hota but kafi light waight hai 131gm kto kafi achhi baat hai
Super AMOLED screen hai to display ka viewing angle aur color quality kafi achhi dekhne ko milti hai.
Pros and cons ki baat karen to.
Pros: Super AMOLED screen hai
Quad-core 1.2 GHz ka prosessor hai
Li-Ion 1900 mAh battery
Talk time Up to 10 h( 3G)
Music play Up to 68 h .to battery ki performance achhi hai
Design kafi achha hai phone ka
App ko is mein Dual SIM( Micro-SIM, dual stand-by) aur 128 gb tak expandble memory option bhi mil jata hai jo ki kafi achhi baat hai
Cons: Resolution 480 x 800 no hd display and only 217 ppi jo ki bahot kam hai
Android OS, v4.4.4( KitKat) milta hai app ko jo ki kafi old ho chuka hai
768 MB RAM jo ki bahot kam availble milti hai first boot mein only 300 mb something agar app kuchh apps instal kar lete hain aur fir multi tasking karte hain to bahot hi zyada hang aur lag karta hai aur rom only 4gb hai jo ki bahot hi kam hai
Sensors Accelerometer, proximity sirf ye 2 hi sensor milte hain. Na hi koi notification light na hi light sensor
5mp camera theek thak hai but agar aap koi close object ki picture to ye zra bhi focus nahi karta kitna bhi tap karo. 2 mp selfie camera bhi avereg hai
Is specificatio ke hisab se is phone ki price kafi zyada hai .isi price mein bahot sare aur achhe phones ate hain
Main to yahi kahunga ki aap koi aur phone lelen isi price mein.
But agar aap samsung lover hain to le sakte hain ye phone bhi
Thanks.…