Te3N movie Review
Hello friends aaj me aapke liye another suspense movie ka review lekar aya hu ji ha me baat kar rah hu Te3n ki .
Jiske lead me shahenshah Amitabh bacchan, power pack nawazuddin siddique, aur dirty girl vidya balan he .
Jise ribhu dasgupta ne direct kiya he aur sujoy ghosh ne produce kiya he . STORYLINE
Ye kahani he John Biswas ki yaani Amitabh bacchan jinhone apne poti ko 8 saal pehle ek kidnapping case me khoya rehta he . Apne poti ko justice dilane ke liye john evidence dhundne lag jate he aur mujrim ko pakdne ki koshish karte rehte he .
Leking 8 saal baad jab ek aisa same case hota he aur dusra baccha bhi kidnap ho jata he tabhi sarita sarkar yaani vidya balan aur church ke father yaani nawazuddin siddique case solve karne me lag jate he .
Ab pata ye karna he ki kya 8 saal baad john un kidnapper ko pakad payege? aur janna ye bhi he ki donho case ke kidnaper kya same hi he? ye janne ke liye aapko movie dekhni padegi . CONCLUSION
So basically teen ye ek Korean movie Montage ka remake he .ye kahani redemption revenge aur unintentionally kiye gaye huye galti ke upar based he .
Movie ke casting ki baat kare toh grandfather ke role me Amitabh ji theek thak lag rahe he, lekin nawazuddin siddique jo apne powerpack role ke liye jane jate vo is baar yaha missing lagte he vidya balan ne bhi thik kam kiya he
Movie ki scripting thodi weak lagti he jiske vajah se teen ye movie predictable ho jati he aur suspense vahi khatam ho jata he .
So teen is an average thriller movie agar app thrill movie ko pasand karte he toh ye movie aapko disappoint karegi .
Toh is Predictable Teen ko hamare tarf se 2 out of 5 stars .