I dont know anything about this software. I am just sending you a shayari or poem on computers.
read it and enjoy.
Aarz Kiya hai.....
Abhi abhi to pyaar ka pc kiya hai chaaloo
Apne dil ke hard disk pe aur kitani files daaloo
Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao
Woh to hum hai jo aap ki chahat dil main rakhatehai
Warna aap jaise softwares to bazaar main bikte hai
Roz raat aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ka mouse bana ke ungaliyon pe nachate ho
Tere pyar ka email mere dil ko lubhataa hai
Par bicch main tere baap ka virus aa jataa hai
Aur karvaaoge humse kitnaa intejaar
Hamaare dil ke site pe kabhi enter to maro yaar
Apne insult ka badalaa dekho kaise loonga
Jaaneman tere baap ko shift delete kar doonga
Aapke ke nakhare apne dil pe bang ho gaye
Do pc joodte joodte hang ho gaye
Aap jaiso ke liye dil ko cut diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai
Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file
guys this was just for fun so dont consider this review on textBridge pro 9.0
I thought of sharing this poem with you guys so I wrote it here in this computer section.
thanx
with love,
hetul