BEHKANE DO FIZA KO MEHKANE DO HAWA KO
AAO AAGOSH MAIN LAB TERE CHUM LU
DEKH LO ISHQ HAD PE UTAR AAYEGA
CHHALAKA DO PAIMANA-E-ISHQ AAHISTA AAHISA
SAMBHALIYE JARA HOSH GUM JAAYEGA
DEKHIYE NA AANKHON MAIN NA YU
HO JAAYENGE AAP MADHOSH AAHISTA AAHISTA
JAAM AANKHON SE YU NA CHHALKAYIYE
BETAABI BADH JAAYEGI AAHISTA AAHISTA
ISHQ KARNA GUNAAH HAI KISI PE MARNA GUNAAH
KATL HO JAYENGE AAPKE ISHQ MAIN EK DIN AAHISTA AAISTA
NA SAMJHO HAME KHUDGARZ KI HAM JEE NAHIN SAKTE BICHHAR KAR
TUT KAR MOTIYON SE BIKHAR JAAYENGE JAMEEN PAR AAHISTA AAHISTA
HAM TO KAAYAL HAIN AAPKE, WAQT KO KUCHH YUN HAM HARAYENGE
SAATH CHALENGE AAPKE LEKE HAATHON MAIN HAATH
RUT ISHQ KA BADLEGA AAHISTA AAHISTA
DIL KI DHARKAN KABHI TO MEHSOOS KARO
ISHQ KE EHSAASON KO MEHSOOS KARO
DEKHO ZAZBAAT UMAR AAYENGE AAHISTA AAHITA
MAJHDAAR MAIN FANSE HAIN AASHIQ HAM
SHAIYAAD AAJ SHIKAAR HO JAAYEGA
WAADA RAHA MAR JAAYENGE TERE ISHQ MAIN
AANSUN NA BAHANA TUM KABHI AAHISTA AAHISTA
NAJRE NA JHUKAO YUN KI EK EHSAAS SA JAGTA HAI
MAALUM HOTA HAI ISHQ HO RAHA HAI AAPKO AHISTA AAHISTA
CHAND NA KAHIE HAME NASUR SA CHUBHTA HAI
HAM TO U HI MAR JAYENGE AHISTA AHISTA
NAJRE NA JHUKAO YUN KI EK EHSAAS SA JAGTA HAI
MAALUM HOTA HAI ISHQ HO RAHA HAI AAPKO AHISTA AAHISTA
CHAND NA KAHIE HAME NASUR SA CHUBHTA HAI
HAM TO U HI MAR JAYENGE AHISTA AHISTA
ye kya keh diya tumne hum to kho hi gaye
haath to apna jara idhar laaiye
tham kar haath hum raat yun gujarenge
aap sharmaengi isshaaron ishaaron main
raat magroor hai ishq majboor hai
hum kho rahe aapke ehasaas main aahista aahista
gujarte waqt ko thaam lene do jara
honthon ko aapka naam lene do jara
aahiste se saanson ko thamne do
dil ke armaano ko machlne do jara
saahil pe baithe hum sochte hain
ishq ho jaayega aapko bhi aahista aahista
ghamon ke baadal yunhi gujar jaayenge
jab dil pe aapke honthon ki chhuan paayenge
sabra karo e dile nadaan
mahal ham pyar ka fir se banayenge
aapne muskura kuchh yun keh diya
hum ho gaye deewane aahista aahista
AAZMA LE TU MERE IS ANDAZ KO
DEKHNA IS KADAR TUM PE HAM CHHA JAAYENGE
KADAM DO KADAM SAATH CHALNE TO DO
MANZILEIN ISHQ KI HAM PAA JAYENGE
NASHA HAI ISHQ KA YE NA YUN UTAREGA
KHUMAR AB TO UTAREGA AAHISTA AAHISTA
SHAAM DHALNE LAGI CHAAND JALNE LAGA
CHAL DIYE HAM GHAR KO AAHISTA AAHISTA
RAAT KE BAAD FIR SUBHAH AAYEGA
SURAJ FIR FALAK PE JAGMAGAYEGA
HUM FIR MILENGE KAL ISI JAHAN MAIN
FIR SE BAAT BADHEGI MAGAR AAHISTA AAHISTA
thame thame se kadam hain
ruke ruke se hum hain
tay karenge fir bhi ye faasle aahista aahista
khule khule se zakhm hain
bhara bhara sa dil hai
chalenge nange paanv fir bhi rahe-ishq pe aahista aahista
dard na kaho ise ye to ishq ke ehsaas hain
maan loge ek dintum bhi aahista aahista
gujar jaayega ye zulm-e- manjar
paa jaoege jahan-e-ishq ki manzil aahista aahista
muskrana hamein aata nahin rone ki dua maangi hai
dil ka dard lena na sikha hamne
safar dil ka shuru ho kaise
ashq aankhon se beh rahe hain jab
ab to aankhon aankhon main umra kategi aahista aahista
TERI DUAON KA ASAR HAI YA KI JAADU HAI TERA
AASAN HAIN MUSHKIL SABHI, DIL MAIN KHUSHIYON KA BASERA
MAJHDHAR MAIN FANSE HUE HUM FIR BHI MUSKURATE HAIN
BAN RAHA HAMARA AFSANA HAI AAHISTA AAHISTA
JAB BHI SOCHTA HUN UN GULAABI AANKHON KO
ANJAANE SE KUCHH KHAAB TAIRNE UTARNE LAGATE HAIN
WO SILE SILE SE HONTH, WO JHUKI JHUKI PALEIN
WO SAANWRI SI SURAT, WO SHARMO HAYA MAIN LIPTI HUSN KI HAI MURAT
WO JHEEL SI AANKHEN, WO NASHEELI SI BAATEIN
WO MUSKARANA UNKA HAR BAAT PE
WO ITRANA UKNA PEHLI MULAKAT PE
HUM TO HUE THE GHAYAL US PEHLI MULAKAT MAIN
HUE UNKE HUSN KE KAAYAL PEHLI MULAKAT MAIN
RESHAM SI UNKI SAANSE, HIRNI SI UNKI CHAL
HUM HO GAYE SIRF UNKE MAGAR AAHISTA AAHISTA