Main ek chhoti si aasha hun
Har insaan ke andar maujud uske astitva ki paribhasha hun
Kabhi kolahal se vichalit hoti hui
Kabhi bhumandal ke swarth tale pisati hui
Phir bhi na rukane paaye kabhi eisi abhilasha hun.
Mere hriday ko na tare koi
Meri dhamniyon main maujud bhay ko na mare koi
Insaan khud ke vyabhichar main itna lipt hua
Kabhi swapn main bhi mujhe na pukare koi
Aakash ki unchaiyon ko chhune waale
Khud ki aasha se bhi to kabhi haath mila le
Nayan pthik ke taak main ab thak rahe
Tumhi to ho apne, ye dukhra ab hum kise kahein