Ai sanam tujhe humne door se saraaha hai sada,
Tum to is baat se anjaan rahe ho shaayad
Teri zindagi ke har ek baat se hum hai waaqif.
Kya yehi baat hamaare liye keh sakte ho?
Hum to nas nas me tera pyar liye firte hain
Kya tum is pyar ko dil me yun bassaa sakte ho?
Teri ek hansee, ek nazar ke liye taraste hain,
Tere deedaar ko, kya kya nahin hum karte hain
Jo apne pyar ka izhaar karenge ai sanam
To ye silsila wahin par hi na ho haaye khatam
Sach hi to kaha hai zamaane ne aakhir,
Jo mazaa intezaar me hai shab-e-pyar me nahi
Khwaabon me deedar aur khwaabon me pyar
Ho jaaye to phir bhi hogi is dil ko tasalli
Dekha hai humne ki haqeeqat me sanam
Sachhe pyar ka milna to hai naa mumkin
Log aate hai to sirf apne kisi matlab se,
Unke is pyar ka hum kaise aitbaar karen
Pal bhar ko bhi ‘gar pyar mil jaaye tera,
Shaayad hamare is dil me qayamat hogi!!