Aaj baithe baithe khayaal aaya
Hum iss duniya mein kyun aaye
Kya maksad hai hamaari zindagi ka
Kyun jiye jaa rahe hain
Phir Kitchen se Mummy ke cake banane ki khushboo aayi
TV pe dekha ki John Abraham samudra se nikla
Mobile pe friend ka phone aaya
Aur Tommy dum hilata hua gaud mein baith gaya
Tab laga goli maaro zindagi ke maksad ko
Kyun hum life to complicate karte hain
Family hai, friends hain
Dilli ki sardi mein moti rajai hai
Padhne ke liye Wodehouse hai
Drool karne ke liye hai Shahid Kapoor
Chand dost hain jinse dil ki baat kar sakte hain
Aur shopping malls bhi door nahin
Job aur paise ki problem lagi rahegi
Rishtey toot-te bante rahenge
Ro ke kaun se aam mil jayenge
Chaho to khush rehne ke liye bahut hai yaaron
Aaj hanslo, nachlo, gaalo
Insaan ka janam mushkil se milta hai
Ise roke mat ganwao yaaron