You cannot rate your own article.
By: anupsoren08 | Posted: Nov 10, 2008 | General | 504 Views

Vo hamare dil mein base hain aur har lamha ret rahe hain dil ko


Zakhm se jo lahu ayaa hai,behta hai ragon mein humein zinda rakhne ko


[Ret - To cut]


Yun to apne marhum jisma ka bojh uthaaye fir rahe hain lekin


Hanste hain, muskra lete hain, jite hain Zindagi duniya ke kahne ko


[Marhum - Dead]


Naadir hai ye jaam, boond bhar bhi chalakne kaise dein


tanbeeh de rakhi hai aaknhon ko, rok hia aansu ke bahne ko


[Naadir - Precious; Tanbeeh - Warning; Rok - Restraint]


Ehad thi umr bhar ki magar choor huaa pada hai raste pe


Naa ho saka farebee dil se do kadam saath chalne ko


[Ehad - Promise; choor - crushed; Farebee - Cheat]


Kya batayein hum tumhin mohabbat kya hai,hum 'ghaafil'


Aatish-e-ishq laga, chod gaye humein dam-ba-dam jalne ko


[ghaafil - ignorant; aatish-e-ishq - spark of love, dam-ba-dam - every moment]


=================================================


After incessant pestering from Monoo.


This one is for you man. :)


Post a Blog