platfrom ke ek kone mein
pade ek bench per baitha
mai apne train ka intezaar kar raha tha
june ka mahina, umas bhari garmi
surya ki kiranein apne raah mein aati
har vastu har prani ko jhulsa rahi thin
shareer ka har ang apne aap mein
ek jharna sa bana huaa tha
mai apne dedh bitte by dedh bitte ke rumaal se
kabhi paseene ponchta to kabhi
khud ko hawa karta
platform per aate jaate logon ko dekh kar
garmi bhulane ka nirarthak prayaas..
anavarat jaari tha
kahin se yun hi chalte firte
do bhikhari bachche mere saamne aa baithe
apne hisse ki mehnat poori kar
ek doosre ko ched rahe the
man behla rahe the
ladki, takreeban dus-baarah ki umar
adhnangi , bikhare baal gandagi se bhare
ladka, chaar saal ka
shareer per bas ek chaddi
unke paas kuch ek gotiyaan
kuch sikke aur ek rumaal ke aakaar ka kapda tha
bas in sabke beech hi dono mast the
" didi, garmi lage hai"
" garmi hai to naa lagegi kaa?"
aur vo hans padi
apne bhai ko ched kar
fir uski roni surat dekh use fuslaya
" ek chota kapda hota to maze karati tujhe"
uski baat dil ko kahin bhed gayi
ichcha hui, aakhir aisa kya maze karayegi ye ladki chotu ko ek kapde se?
vashibhoot sa mai utha
aur us ladki ke peeche vale paan ki dukaan se paan li
paise chukaate huve apna rumaal vahin gira diya
aise ki un bhikhari bachchon ki nazar mein
aa jaye mera rumaal
aur vapas apne bench per jaa baitha
fir maine intezaar kiya
aakhir bachcha utha
aur rumaal utha kar le ayaa
ladki ki aanhon mein mano
surya ki si chamak aa gayi ho
usne purane kapde ko zameen per bichaya
us per mere rumaal ko faila diya
aur dono ke do kono ko aapas mein baandh diya
dono kapde aapas mein
do siron se bandh gaye
ladki ne dono bandhe kono ke beech
bane jagah mein
bachche ka sir dal diya
pahle kapde ne aage se
aur rumaal ne peeche se
bachche ke shareer ka ang dhank diya
ladki boli "ab garmi kam lage hai?"
bachche ne haan mein sir hila diya
=====================================