You cannot rate your own article.
By: anjali1061983 | Posted: Apr 05, 2009 | General | 185 Views

Koi ye kaise bataye ki, wo tanha kyon hai


Wo jo apna tha wohi, Orkisi ka kyoon hai


Yahi duniya hai to phir, aisi ye duniya kyoon hai


Ik zara haath bada de to, pakdle daaman Uska


Uske seene mein sama jaye, hamari dhadkan


Itni Kurbat hai to phir, faasla itna kyoon hai


Koi ye kaise bataye ki, wo tanha kyon hai


Wo jo apna tha wohi, Or kisi ka kyoon hai


Dile barbaad se nikla nahi, ab tak koi


Ik loote ghar pe diya karta hai, dastak koi


Aas jo toot gayi, phir se, bandhaata kyoon hai


Tum masarrat ka kaho ya, ise gum ka rishta


Kehtein hai pyaar ka rishta hai, janam ka rishta


Hai janam ka rishta jo ye to, badalta kyoon hai


Koi ye kaise bataye ki, wo tanha kyon hai


Wo jo apna tha wohi, Or kisi ka kyoon hai


Publish an Article