You cannot rate your own article.
By: Aarini | Posted: Nov 22, 2010 | Loving it! | 694 Views (Updated Nov 22, 2010)

koi kisi se kitna sneh kar sakta hai,


sabne Radha ke sneh ko udahran banaya hai,


par Krishn ke prem ne he har pal Radha ko sneh bataya hai,


isi liye humne tha nahi lagaya hai,


is sneh ke liye sabhi to taraste hai,


mann ke dhago mai chupke- chupke,


sneh ke phholon guthne ko bhatakte hai,


jisko pane ko tarste hai usse hi har waqt,


haar-jeet ka mukabla sa karte hai,


ye sneh to phoolon ki najuk si dali sa hai,


kyon nahi ek sira khud tham kar doosra,


sira auron ko thamaya hai…


sneh ki reshmi dor mai itni gaanthein laga kar,


khudko har ghadi kyon tarsaya hai,


mann ki sabse khubsurat bhavnaon ko kyon,


sabse kathin banaya hai…


humesha dene ka hisab rakha tha toh,


paane ka hisab karte paya hai,


is dene pane ke hisab ne hi to,


sneh ki meethi ghadiyon ko ganvaya hai.



na Radha ne poocha na Krishn ne bataya …phir bhi sneh kahaa mit paaya hai


iss vileen hote sansaar main sirf sneh he amit ho paaya hai..


ek sneh main he maine Bhagwan ka paaya hai….


Post a Blog