You cannot rate your own article.
By: Bistriti1986 | Posted: May 17, 2011 | General | 644 Views

Mehfuz tha jahan tu, uss khaakdaan ki kadr naa ki,
Jaa ab rihaa hai tu, naseeb hoga tujhe bhi ek khaamosh makaan hi,
Mujhe teergi mein rulaake,
Kis shama ko roshan karne chala hai tu?
Meri rooh ko jalaake, kya khaak peeroyega?
Kabhi mauka mile, to sunn, inn sannaton mein bhi apna hi zarra payega,
Jaise samandar ne saari zameen nigal li ho,
Iss furqat ne jaise meri goonj chheen li ho,
Meri lau ko bujha ke,
Kis chiraagh ki talaash mein hai tu?
Chakh ke dekh, khula hai mera lahoo,

Iss jahan se takraake,
Kaaynaat se chhiinaa tha tujhe maine,
Teri fitrat ki kya baat karu,
Ab kis se karun kya gila,
Mera to khuda hi gair nikla,

Iss zindagi se ab kya lena,
Ki gar jaag uthe teri insaaniyat kabhi,
To meri kabr pe do ashk zaroor baha dena!


Post a Blog