You cannot rate your own article.
By: Bistriti1986 | Posted: May 11, 2011 | General | 1072 Views (Updated May 11, 2011)

Ret ke makaan to kai sune honge,


Kabhi raakh ka aashiana suna hai?


Sulag jaati hai chingaari har baar jab aag dar par se guzar jati hai,


Aise hi bina koi ishaara kie,


Abhi dehleez simti nahi thi ki ishq chodhh chala bina koi sauda kie,


Meri kalam se ab khoon tapakta hai,


Meri mehfil ki raunaken khafa hai,


Mujhe jis ibaadat pe naaz tha,


Aaj waqt ki kasauti ne uski shaqsiyat mita di, Ke abhi to meri udaan baaki thi, Aur kinaaron par meri pehchaan baaki thi,


Mere dard ki hararat shayad tujhe modh bhi laaye,


Par meri rooh ke kis qatre mein mujhe dhoondoge?


Meri tanhainyon ko guroor hai meri mohabbat pe,


Bas shikayat hai to uss junoon pe,


Uss ek shaks ke liye,


Jo saadgi se anjaan raha,


Aisi shiddat se koi mitt jaata hai kahan,


Aur main to aisi miti, ki na sukoon raha, na safar ki umeed,


Iss kadar bikhar chuke hain lamhe,


Ke thak kar beh jana hi naseeb reh gaya,


Iss kadar aarzoo hai teri,


ki meri har dua mein sirf tu hi reh gaya!


Post a Blog