You cannot rate your own article.
By: Bistriti1986 | Posted: May 10, 2011 | General | 607 Views (Updated May 10, 2011)

Wo jo silsile the kabhi,


Aaj muddaton ke baad phir bechain sa kar gaye,


Har zakham se jo dhuaan utha aaj,


Ki kaanch ke chubhne ka dard bhi mehsus na hua aaj,


Unn wiraan raaston par phir chalna padh raha hai,


Jahan dafna di thi apni cheekhen,


Aaj unhe sun ke ek ajeeb kashmakash se guzarna padh raha hai,


Mere seene mein jo raatein safar karti hai,


Meri shabon mein hairaaniyan safar karti hai,


Adhoore hain kuch lafz iss tarah,


Ki tere kadmon ke nishan bhi kaid hain iss dil mein panahon ki tarah,


Har lamhe mein zikr hai tera,


Ki ye jo rooh se rooh tak ka faasla hai,


Yahi to kashish, yahi to kinaara hai!


Bistriti Poddar Mehra


Post a Blog