KAISE DHALEGI RAAT KI ABHI HAR BAAT BAAKI HAI
KEHNE DIJIYE WO HAR BAAT AAHISTA AAHISTA
AAYA YAAD HAR WAADA AAPKO YE MERI KUSHNASEEBI HAI
AAJMAYENGE AAPKO HAM AAHISTA AAHISTA
DUR DUR BAITH KAR DIL MAIN UTARNE KI BAAT KARTE HO
AA JAO AB MERE PAAS AAHISTA AAISTA
EHSAASON KO SHABON KI ZAROORAT NAHIN
LIKH DO HAMARA NAAM APNE DIL PE AAHISTA AAHISTA
ARMAAN TERE DIL KE HAM SEENE SE LAGAYENGE
SAMA JAO IS DIL MAIN AAHISTA AAHISTA
shaheedon ke shahadat ko bhoolne lage
veer gathayen simat gayi kitabon main
bhool gaye wo jail ki deewarein
mitne lagi shaheedon ki smiritiyan dil se aahista aahista
lahoo se sichenge jameen ko apni
kabhi na ham ghabrayenge
aayega jo raaste me apne
uske har julm ka rukh ham mor denge aahista
har zulm ka anth likha hota hai
har sitam ka waqt likha hota hia
dekhna e dost aayega wo maseeha
aur rachega ek naya itihaas aahista aahista
kya ho gaya insaan ko e dekh uparwaale
bhul ke manzil apni wo pee rahe maye ke pyale
kab aayega wo din ek pyaara sa
jab aayenge ham hosh main aahista aahista
dil ka dard aaj kuchh is kadar badh gaya
ham lahoo ke ghunt pee rahe hain aahista aahista
zakhmon ko mere unkhon khud ki ungliyon se kureda hai
lahoo risne lage zakhmon se aahista aahista
anjaam tak pahunchane ki ummid bahut kam hai
saathi chhut rahe raahon main aahista aahista
humne bhi ye tay kar liya
manzil ko hum paayenge
aasman ko ham jhukayenge
chand ko zameen pe laayenge aahista aahista
ham ne socha ye aansu baha ke kya hoga
yun apne hi dil ko rula ke kya hoga
chalo zazbaaton ko gazal banaye
aur dil ke khol ke muskuraye aahista aahista
dharkano hi dharkano main mil rahe ehsaas aahista aahista
sargoshi karti hai ye hawa aahista aahista
sharma ke jo aap yun bikhre hamari baahon main
eisa laga jaise chhlak gayi ho maye paimane se
chadh gay hampe bhi ishq ka khumaar aahista aahista
aapki isi ada ke hum kaayal hain
aapke inhi zazbaaton se hum ghayl hain
aahist aahista aapka yun apna banana
aahista aahista dekhiye pyar ka ban gaya fasaana
eisa na kaho sapno haqeeqat banate der nahin lagti
jara sa ek saath do hamara,chalo sapno fir se sajaye hum
aao jhume khushi main, aao bhul jaae saare gham
dekha fir badal jaayegi zindagi ki tasveer aahista aahista
AANKHON KI SHOKHIYAN MERI SANAM AAPKE LIYE HAIN
ILM HOGA AAPKO YE AAHISTA AAHISTA
DIL KE HAR DHARKAN PE ASAR AAPKA HAI
MEHSOOS KARNE LAGE YE HUM AAHISTA AAHISTA
LAFZON KO LIBAAS DE DO SANAM
BAN JAAYEGI ISHK-E-GHAZAL AAHISTA AAHISTA
ADHURI HAI TERI ZINDAGI MERE BIN
KAISE JAAOGE HAM SE DOOR TUM AAHISTA AAHISTA
KEHTE THE AAP HUM AASHIYAN BANAYENGE PAR KA
KHO GAYE WO KHAAB JARA AAHISTA AAHISTA
RISHTA TERE MERE BEECH KA RESHAM SE JURA THA
KACHHI DOR RESHAM KA TUT GAYA AAHISTA AAHISTA
AFSAANA BANANE CHALE THE HUM PYAR KA
TUT GAYA SAPNO KA MAHAL AAHISTA AAHISTA
TA-UMRA TUJHE PAANE KI CHAHAT LIYE JEETE RAHE HUM
KINARE PE PAHONCH KE MAGAR DUB GAYE AAAHISTA AAHISTA
RAKHE JAB BHI KADAM HAMNE ISHQ-E-CHAMAN MAIN
KAANTE CHUBHTE RAHE PAANV MAIN AAHISTA AAHISTA
GUJARE WO JAMANE YAAD AANE LAGE
ASHQ AANKHON SE BEHNE LAGE AAHISTA AAHISTA