yaad aate hain wo beete pal apne pyar ke
yaad aate hain wo beete pal sanam ikraar ke
ye kaisi tanhai meri kismat main aayi hai
ham ban gaye tamasha aur zindagi tamashayi hai
ishq anjaam se nahin teri ruswayi se darte hain
darte hain ham apni tanhayi se
darte hain ham pyar ki gehrayi se
lagta nahin dar hamein apni tamashayi se
roj hoti hain unse mulalkatein
fir bhi baat adhuri hai
roj gujarti hai raat tanhaiyon main
par shaam aaj bhi adhuri hai
intjaar hai hamein bhi aaj us haseen pal ka
intjaar hai hamein aaj bhi us haseen kal ka
jab meri is veeran jindagi main koi rang bharne aayega
layega wo khushiyan hajar aur dil mera le jayega
mausam ka khumaar kuchh is kadar hum pe chhaya
bhul gaye ghar ka rasta yaad raha sirf aapka saaya
mehfil main aaj bhi ek veerani si hai
mehfil aaj bhi apni kahani si hai
log aaj bhi bahut hain is mehfil main
jaam aaj bhi paimaon se chhalakta hai
kami hai bas is baat ki mehfil main aap nahin
warna mehfil bhi hoti kuchh hansi kuchh hansi
had kar di aapne ye baat keh ke
dil me dard sa yu uth gaya hai
are don hokar koi paap nahinkiya hamne
hamre seene main bhi ek pyar sa dil hai janab
ishq ki dukaan pe har saaman bikte hai
is bedard jamane main insaan bikte hain
khud tune kaisa ye reet banaya hai
kyun sirf maut apni hai aur baaki sab paraya hai
najre jhuka ke salaam apko karte hain
ye hamare ehsaas hain yun bach ke na nikaliye
Zindagi ke galiyaaron se jhaankte hue gham dekhe hain.
aansuon se sinchi hui zameen jyada,
khilte hue chaman kam dekhe hain.
aaj bhi sarak se gujarte hueusi manjar ka deedar hota hai.
aaj bhi bhukh se tarpate un chehron ko dekh kar
dil baar baar rota hai.
taabah hona jinki kismat hai
eise hajaron nayan dekhe hain
aaj bhi un maasoomon ki laash pe
hamne chithron ke kafan dekhe hain.
subeh ke suraj ko salaam kar ke ghar se fir chal pare ham.
kadam badhate gaye manzil ki or aur faasle hote gaye kam.
ruswa tujhe na karenge e zindagi milaenge tere har kadam se kadam.
dil main arman kai, aankhon main hain sapne nae.
jism main ek garmi si hai aankhon main ke narmi si hai.
har subah hanseen banayenge har shakhas ke dil pe ham chhayenge.
kaagaz ki kashti ko hamne fir se dariya main utara hai.
ham to kab se jaane baithe the ye saara jahan hamara hai
tufan ko ana hai aaye, chahe ab bijli hum pe gir jaaye.
aankhon main tere tab bhi ham dekhenge e aasman.
takarayenge har muchkil se , paayenge is jahan me ham apana mukan.
JAA RAHE HAIN HAM AAPKE KHAYALON KO SAMETE
SHAAM KE DUNDHLAKE MAIN BHI CHEHARA EK JHALKATA HAI
YE TO AAPKA SAAYA HAI JO SAATH CHALTA HAI HAMARE
HAAN SHAYD YE SACH HAI KI HAM JEE RAHE HAIN AAPKE SAHARE
ISHQ HONA KISI SE ITTEFAQ NAHIN HOTA
KOI RISHTA MOHABBAT SE JYADA KHAAS NAHIN HOTA
ISHQ KAR KE AAJ HAMNE YE JAANA HAI
ISHQ HI SACH HAI BAANKI SAB JHUTHA FASANA HAI
subah ki pehli kiran jab os se bheege is jameen pe pari
dard fir se utha dil main aur aankehn fir se ro pari
tanha hone ka khayal aaya hamen
nikal diye ham fir ghar se, shayd aaj mil jaye koi pari.
gaanv ki ek saanwari si gori
is kadar dil main bas gayi
hosh guma baithe hum dard bhula baithe hum
e mere dost bata mjhe kahin ye isgq to nahin
maaf kijiyega hamein ham khata kar gaye
khud se hi khud ko juda kar gaye
kahiye ise meri mohabbat
ya keh dijiye ki aap hamse daga kar gye
ZAZBAAT JUBAAN PE AAYE AUR GEET BAN GAYE
CHALE SAATH AAP MERE AUR MEET BAN GAYE
NAZDIKIYAN KUCHH IS KADAR BADHNE LAGI
DOSTI KI EK NAYI REET BAN GAYI
Hansana hamara kisi ko gawara nahe hota..
Har Musaffir zindage ka sahara nahe hota..
Milte hain bohut log is tanha zindage main..
Par koi dost tum sa pyara nahe hota..
Zuban hi sirf ek zaria nahi,
Jo aap shabdon ko samajh paayenge.
Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye,
Hazaro alfaz khud b khud bikhar jayenge
Aab kya batauyn tumse durr hokar hamara kya hal hai
Kaise samjhaye k har wakt tumhara khayal hai
Tum hai sochkar to jindagii jite hai ham
Waqt ne diya jo bhi ghauv usse siite hai ham
Tum bin ham jayenge is duniya mai aur kaha
Bas jina yaha, marna yaha,tumhare siwa jana kaha..
aaj aansuon se sincha hai hamne gulistan pyar ka
barbad ho kar bhi aaj khush hain hum
maalum hota hai aapko iski khabar nahn
ek aashique lut chuka hai aapke pyar main
achha aur bura ye sab samjh ki baathai
maano ya na maano ye bas dil ke jajbaat hain
intajar main kisi ke yun na din gujar
har raah pe nayi manjil kar rahi hai tera intjaar