khuda ne jahan bhar ka husn unhe farmaya
khuda ne chandan sa badan unka mehakaya
e khuda fir kyun eisi kismat mere hisse aayi
fanaa ho gaye ishq main kya yahi hai teri khudai
dost kehna aasan hai dosti nibhana mushkil
rishte bante hain baaton baaton main
duriya kam ho jaati hain chand mulakaton main
dost wo hai jo saath rahe aapke
baante aapka gham aur ho aapke ghamon main shaamil
hote hote hona kya yahi pyar hai
milte milte bichhrana kya yahi pyar
takdeer ka rukh morna kya yahi pyar hai
samandar ki lehron ko ginana kya yahi payr hai
falak pe aaye chand ko niharna kya yahi payr hai
hosh ka gum jaana, kabhi kabhi sharmana
kabhi ansun bahana , kabhi bina baat ke ithlana
kabhi nzarein milana, kabhi nazrein churana
kya yahi pyar hai, haan yahi to pyar hai
nasha jab ishq ka dil pe sawaar hota hai
ishq ka teer jab dil ke paar hota hai
jamane ki parwaah tab aashique karte nahin
ishq main jaan lutane se bhi tab aashiq darte nahin
takdeer ka rukh morne ki jab khwahish ho
mehfil main junune ishq ki jab aazmaish ho
ishq main har zakhm do dil pe khayega
marne ke baad bhi use yaad rakhegi duniya
ishq ki khatir jaan lutane waala, wo aashiq kehlayega
kahani ishq ki kuchh anuthi si hai
kabhi sapna kabhi sach kabhi jhuthi si hai
ho jaate hain do dil deewane
ban jaate hain fir pyar ke naye fasane
kabhi ashq to kabhi hansi hia ye ishq
kabhi milan to kabhi tanhai hai ye ishq
kabhi dariya kabhi baadal kabhi jhonka kabhi resham
kabhi falak to kabhi zameen hia ye ishq
mil jaaye jise ishq wo khushnseeb hai
ye wo rishta hai nikhil jo uske dil ke kareeb hai
matlabi is duniya main sirf aapka ek sahara hai
mere is jism main behte lahoo ke har boond pe naam tumara hai
marna kisi ke pyar main to chhoti si baat hai
ham to takrayenge jamane se tere kareeb aane ko
aage aage dekhiye abhi to shuruat hai
tere kadmo me aashiqui bichhane ko dil karta hai
har lamha tere pyar me jaan lutane ko jee karta hai
sadiyan beet gayi umeed fir bhi tere deedar ka hai
na kaho ise paagalpan sanam, kasoor tere beintaha pyar ka hai
apna rishta to sadiyon purana hai
zindagi ka kya ise to bas aana jaana hai
zindagi main kuchh yun nahin ota
har sawal ka jawba kyun nahin hota
mila zindagi main tujhe jo bhi e nikhil
badha dono haath kar le inko apni zindagi main shamil
khushiyan chand palon ki mehman hoti hain
jee har pal ko ek sadi ki tarah
kya pata wo pal kal ho na ho
unki taarif kaise karun main shabdon main bayan
unke aane se mehka mera aangan
unke aane se badle harek mausam
wahista se unka aana bina aahat kiye
meri baahon me saman bina aaht kiye
unki har ada jaise ek shararat hai
behke hue the ham zara sa
ban gaye aaj shayr ye unki hi inayat hai
unhone dekha kuchh yun, fir palein jhuk gayi
hamne jaana tab ke hame manzil mil gayi
zindagi main thi hamare tanhaiyan
wo aaye hamare tanaha zindagi main
wo laaye nai khushiyan meri tanha jindagi main
e khuda itni khudhi na do ki hamse saha na jaye
e khuda na karo itna kareeb unke ke bin unke ek pal raha na jaye
juda hone ka dard humse puchho yaaron
mehboob ke khafa hone ka gham ham se puchho yaaron
raat beet rahi tukron tukron mein
din main nazar kuchh na aaye hamein
shehar ki bheer hame dasne lagi
rehna tanha hame raas aaya nahin
zindagi bhi ajeeb mazaak karti hai
pehle ishq hota hai, for mulaqat hoti hai
fir manjar badal jaate hain yaaron
fir unki yaad main har raat katti hai
pyar hona kisi se ittefaq nahin hota
koi rishta mohabbat sa khaas nahin hota
zakhm bhi milte hain gham bhi milte hain
saathi milte hain milke bichharte hain
har dil ko is baat ka ehsaas nahin hota
khuda ne jahan bhar ka husn unhe farmaya
khuda ne chandan sa badan unka mehakaya
e khuda fir kyun eisi kismat mere hisse aayi
fanaa ho gaye ishq main kya yahi hai teri khudai
khuda ne jahan bhar ka husn unhe farmaya
khuda ne chandan sa badan unka mehakaya
e khuda fir kyun eisi kismat mere hisse aayi
fanaa ho gaye ishq main kya yahi hai teri khudai