Ek tha Pintu. Ek thi Pinky
Woh thi thodi si chinky
Pintu usko bulaata kinky
Woh Pintu ko kehti stinky
Dono ladte laat maar maar
Pinky chaahti dinky – nano car
Pintu kehta sure whenever yaar
Par abhi baatein kar lein chaar
Pinky kehti sirf kaam karo
Jag mein apna naam karo
Pintu kehta aaraam karo
Nahin to kaam tamaam karo
Aise hi din beette the
Daal daal paat paat hote the
Pinky hamesha jeetti thi
Aage rehna chaahti thi
Pintu nikamma nikhattu tha
Ghoomne ko chahiye tattu tha
Par Pinky par lattu tha
Ban gaya tota rattu tha
Aakhir Pintu ko akal aayi
Usne bhi apni dukaan lagaai
Din bhar mehnat karta tha
Pinky ko kamaai deta tha
Pintu ne kaamchori chhodi
Pinky ki saj-dhaj aayi doli
Pintu bhi chad gaya ghodi
Wah! Rab ne bana di jodi
(This is nonsense funny poem.)
Tags :
Poem, Hindi, pintu, pinky